hamein kya jo gul khile hain ya kali hai muskurai
hameñ kyā jo gul khile haiñ yā kalī hai muskurā.ī
tū nahīñ hai jān-e-jānāñ to bāhar kyoñ hai aa.ī
tū ho ham-nashīñ sanam jab lage farsh arsh jaisā
vo bahisht bhī hai dozaḳh jahāñ tū na de dikhā.ī
chunī kis binā pe tū ne hamīñ muflisoñ kī bastī
tujhe barq ye siyāsat batā kis ne hai sikhā.ī
thā qusūr mere dil kā yā nasīb kī thī sāzish
mujhe jo bhī chiiz bhaa.ī kabhī raas vo na aa.ī
tujhe kis tarah se jalva dikhe ai 'sadā' ḳhudā kā
ki hai darmiyān haa.il tirā zauq-e-ḳhud-numā.ī
hamein kya jo gul khile hain ya kali hai muskurai
tu nahin hai jaan-e-jaanan to bahar kyon hai aai
tu ho ham-nashin sanam jab lage farsh arsh jaisa
wo bahisht bhi hai dozaKH jahan tu na de dikhai
chuni kis bina pe tu ne hamin muflison ki basti
tujhe barq ye siyasat bata kis ne hai sikhai
tha qusur mere dil ka ya nasib ki thi sazish
mujhe jo bhi chiz bhai kabhi ras wo na aai
tujhe kis tarah se jalwa dikhe ai 'sada' KHuda ka
ki hai darmiyan hail tera zauq-e-KHud-numai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.