hamein kya KHabar hai kahan chhoD aae
hamein kya KHabar hai kahan chhoD aae
Abdul Majeed Khan Majeed
MORE BYAbdul Majeed Khan Majeed
hameñ kyā ḳhabar hai kahāñ chhoḌ aa.e
bahut pīchhe ham kārvāñ chhoḌ aa.e
hameñ tū ne baḳhshe the ġham ke añdhere
añdheroñ meñ ham kahkashāñ chhoḌ aa.e
azal se tabī.at thī āvāra apnī
zamīñ ke liye āsmāñ chhoḌ aa.e
zamāna hameñ bhuul pā.egā kaise
har ik dil meñ dard-e-nihāñ chhoḌ aa.e
bulāyā hai tum ne to izzat bhī rakhnā
pas-e-pusht saarā jahāñ chhoḌ aa.e
'majīd' apne dāman meñ kāñTe sajā kar
tumhāre liye gulsitāñ chhoḌ aa.e
hamein kya KHabar hai kahan chhoD aae
bahut pichhe hum karwan chhoD aae
hamein tu ne baKHshe the gham ke andhere
andheron mein hum kahkashan chhoD aae
azal se tabiat thi aawara apni
zamin ke liye aasman chhoD aae
zamana hamein bhul paega kaise
har ek dil mein dard-e-nihan chhoD aae
bulaya hai tum ne to izzat bhi rakhna
pas-e-pusht sara jahan chhoD aae
'majid' apne daman mein kanTe saja kar
tumhaare liye gulsitan chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.