hamein lagta hai din sab log jis ko raat kahte hain
hamein lagta hai din sab log jis ko raat kahte hain
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
hameñ lagtā hai din sab log jis ko raat kahte haiñ
koī maane na maane ham to apnī baat kahte haiñ
kahāñ jalva nahīñ us kā kahāñ charchā nahīñ us kā
vo bas ik nuur hai bande ḳhudā kī zaat kahte haiñ
jahāñ nākām ho ke apnī rah jaatī haiñ tadbīreñ
unheñ bigḌī huī taqdīr ke hālāt kahte haiñ
jamāl-e-yār par miTtā hai koī husn-e-fitrat par
isī zauq-e-amal ko nisbat-e-auqāt kahte haiñ
milā kyā kyā na un se ham ko ai 'ālam' mohabbat meñ
sitam Dhāyā kareñ vo ham to ehsānāt kahte haiñ
hamein lagta hai din sab log jis ko raat kahte hain
koi mane na mane hum to apni baat kahte hain
kahan jalwa nahin us ka kahan charcha nahin us ka
wo bas ek nur hai bande KHuda ki zat kahte hain
jahan nakaam ho ke apni rah jati hain tadbiren
unhen bigDi hui taqdir ke haalat kahte hain
jamal-e-yar par miTta hai koi husn-e-fitrat par
isi zauq-e-amal ko nisbat-e-auqat kahte hain
mila kya kya na un se hum ko ai 'alam' mohabbat mein
sitam Dhaya karen wo hum to ehsanat kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.