hamein likha bhi agar hashiye mein rakha gaya
hameñ likhā bhī agar hāshiye meñ rakhā gayā
nazar na aa.e jo us zāviye meñ rakhā gayā
tire nasīb meñ manzil kabhī na aa.egī
safar tamām tarah dā.ere meñ rakhā gayā
havā ko ye bhī batāyā ki raushnī hai kahāñ
charāġh ko bhī tire rāste meñ rakhā gayā
anā ke naam pe jab ban gayā sanam-ḳhāna
ḳhudā ko lā ke vahāñ but-kade meñ rakhā gayā
huā ye haal ki behāl ho ga.e ham to
ba-nām-e-ishq ajab marhale meñ rakhā gayā
ajiib sā.at-e-dīdār thī nigāhoñ meñ
sajā ke hairatoñ ko aa.ine meñ rakhā gayā
koī bayān diyā na koī safā.ī dī
hamārā naam magar faisle meñ rakhā gayā
hamein likha bhi agar hashiye mein rakha gaya
nazar na aae jo us zawiye mein rakha gaya
tere nasib mein manzil kabhi na aaegi
safar tamam tarah daere mein rakha gaya
hawa ko ye bhi bataya ki raushni hai kahan
charagh ko bhi tere raste mein rakha gaya
ana ke nam pe jab ban gaya sanam-KHana
KHuda ko la ke wahan but-kade mein rakha gaya
hua ye haal ki behaal ho gae hum to
ba-nam-e-ishq ajab marhale mein rakha gaya
ajib saat-e-didar thi nigahon mein
saja ke hairaton ko aaine mein rakha gaya
koi bayan diya na koi safai di
hamara nam magar faisle mein rakha gaya
- Book : ردائے ہجر (Pg. 132)
- Author : تسنیم عابدی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.