hamein mausamon ka shuur hai hamein na-samajh na KHayal kar
hameñ mausamoñ kā shu.ūr hai hameñ nā-samajh na ḳhayāl kar
tū naved-e-fasl-e-bahār de na lahū fazā meñ uchhāl kar
kabhī apne tā.ir-e-shauq ko na asīr-e-dām-e-ḳhayāl kar
kabhī guftugū-e-firāq kar kabhī justujū-e-visāl kar
na ḳhirad ko sarf-e-nashāt kar na junūñ ko vaqf-e-malāl kar
koī sehr-kār-e-hunar dikhā koī sa.ī-e-kasb-e-kamāl kar
na hikāyat-e-shab-o-roz kah na shikāyat-e-mah-o-sāl kar
na kisī ko vāqif-e-dard kar na kisī ko shāmil-e-hāl kar
sar-e-bazm ho jo suḳhan-sarā kahe harf harf sañbhāl kar
na kisī ko talḳh javāb de na kisī se tund savāl kar
maiñ unheñ qubūl nahīñ magar mire ham-safīr ye soch leñ
ki phir un ke paas rahegā kyā mujhe gulsitāñ se nikāl kar
vo tirī ġhinā kā mutālba ki farāḳh dast-e-atā rahe
ye tirī anā kā mo.āmla na darāz dast-e-savāl kar
mirā dil nahīñ mirā mas.ala ki hai ab ye aap kā aa.ina
ise ehtiyāt se dekhnā ise toḌnā to sañbhāl kar
maiñ amīr-e-mulk-e-tarab nahīñ mujhe jām-e-jam kī talab nahīñ
mirī asl hai isī ḳhaak se mujhe pesh jām-e-sifāl kar
hamein mausamon ka shuur hai hamein na-samajh na KHayal kar
tu nawed-e-fasl-e-bahaar de na lahu faza mein uchhaal kar
kabhi apne tair-e-shauq ko na asir-e-dam-e-KHayal kar
kabhi guftugu-e-firaq kar kabhi justuju-e-visal kar
na KHirad ko sarf-e-nashat kar na junun ko waqf-e-malal kar
koi sehr-kar-e-hunar dikha koi sai-e-kasb-e-kamal kar
na hikayat-e-shab-o-roz kah na shikayat-e-mah-o-sal kar
na kisi ko waqif-e-dard kar na kisi ko shamil-e-haal kar
sar-e-bazm ho jo suKHan-sara kahe harf harf sanbhaal kar
na kisi ko talKH jawab de na kisi se tund sawal kar
main unhen qubul nahin magar mere ham-safir ye soch len
ki phir un ke pas rahega kya mujhe gulsitan se nikal kar
wo teri ghina ka mutalba ki faraKH dast-e-ata rahe
ye teri ana ka moamla na daraaz dast-e-sawal kar
mera dil nahin mera masala ki hai ab ye aap ka aaina
ise ehtiyat se dekhna ise toDna to sanbhaal kar
main amir-e-mulk-e-tarab nahin mujhe jam-e-jam ki talab nahin
meri asl hai isi KHak se mujhe pesh jam-e-sifal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.