hamein miTa ke zindagi ‘azab-e-zindagi na ho
hamein miTa ke zindagi ‘azab-e-zindagi na ho
Abdul Qayyum Zaki Aurangabadi
MORE BYAbdul Qayyum Zaki Aurangabadi
hameñ miTā ke zindagī ‘azāb-e-zindagī na ho
hamārī ḳhaak meñ nahīb sā’iqa chhupī na ho
malāl hī meñ hai ḳhushī firāq meñ visāl hai
ḳhushī na ho to ġham na ho jo ġham na ho ḳhushī na ho
na dekh lutf-e-zindagī ma.āl-e-zindagī bhī dekh
ye zindagī haqīqatan fareb-e-zindagī na ho
baḌhī huī haiñ dahr meñ sitam kī be-panāhiyāñ
kahīñ is inqalāb ko havā kisī ne dī na ho
sharār-o-sho'la ko tū kyoñ samajh rahā hai lāla-zār
numūd-e-zindagī tirī sarāb-e-zindagī na ho
hamārī talḳh-kāmiyāñ baḌhīñ to kuchh bhī ġham nahīñ
magar ye ḳhauf hai kahīñ tumheñ bhī bekalī na ho
havādis-e-zamāna se kabhī na ḳhauf kar 'zakī'
jo aaj tujh ko ġham na ho to kal tujhe ḳhushī na ho
hamein miTa ke zindagi ‘azab-e-zindagi na ho
hamari KHak mein nahib sa’iqa chhupi na ho
malal hi mein hai KHushi firaq mein visal hai
KHushi na ho to gham na ho jo gham na ho KHushi na ho
na dekh lutf-e-zindagi maal-e-zindagi bhi dekh
ye zindagi haqiqatan fareb-e-zindagi na ho
baDhi hui hain dahr mein sitam ki be-panahiyan
kahin is inqalab ko hawa kisi ne di na ho
sharar-o-sho'la ko tu kyon samajh raha hai lala-zar
numud-e-zindagi teri sarab-e-zindagi na ho
hamari talKH-kaamiyan baDhin to kuchh bhi gham nahin
magar ye KHauf hai kahin tumhein bhi bekali na ho
hawadis-e-zamana se kabhi na KHauf kar 'zaki'
jo aaj tujh ko gham na ho to kal tujhe KHushi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.