hamein pata hai ki parcha bura nahin aaya
hameñ pata hai ki parcha burā nahīñ aaya
magar tumhārā paḌhāyā huā nahīñ aaya
kisī ke haal pe hañsne gayā thā mahfil meñ
magar maiñ lauT ke hañstā huā nahīñ aaya
maiñ sharmsār ki phir der ho ga.ī mujh ko
vo sochtā hai ki achchhā huā nahīñ aaya
hamārī chīḳh ne ik bhiiḌ to ikaTThā kī
magar hamārā pukārā huā nahīñ aaya
tirī tarah nahīñ āsān vāpsī merī
maiñ rāstoñ ko samajhtā huā nahīñ aaya
chunī vo bas ki ziyāda thiiñ laḌkiyāñ jis meñ
bichhaḌ ke tujh se meñ rotā huā nahīñ aaya
hamein pata hai ki parcha bura nahin aaya
magar tumhaara paDhaya hua nahin aaya
kisi ke haal pe hansne gaya tha mahfil mein
magar main lauT ke hansta hua nahin aaya
main sharmsar ki phir der ho gai mujh ko
wo sochta hai ki achchha hua nahin aaya
hamari chiKH ne ek bhiD to ikaTTha ki
magar hamara pukara hua nahin aaya
teri tarah nahin aasan wapsi meri
main raston ko samajhta hua nahin aaya
chuni wo bas ki ziyaada thin laDkiyan jis mein
bichhaD ke tujh se mein rota hua nahin aaya
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 48)
- Author :Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.