hamein pine-pilane ka maza ab tak nahin aaya
hameñ pīne-pilāne kā mazā ab tak nahīñ aayā
ki bazm-e-mai meñ koī pārsā ab tak nahīñ aayā
sitam bhī lutf ho jaatā hai bhole-pan kī bātoñ se
tujhe ai jaan andāz-e-jafā ab tak nahīñ aayā
dam-e-āḳhir the bālīñ pe jo aane ko vo aa.e bhī
to hañs kar kah ga.e vaqt-e-duā ab tak nahīñ aayā
sahar hote bujhā.e kaun ai sham-e-lahad tujh ko
koī jhoñkā nasīm-e-sub.h kā ab tak nahīñ aayā
ḳhudā jaane huā kyā kūcha-e-jānāñ meñ dil jā kar
mirā bhūlā huā bhaTkā huā ab tak nahīñ aayā
gayā thā kah ke ye qāsid ki ulTe paañv aatā huuñ
kahāñ kambaḳht jā kar mar rahā ab tak nahīñ aayā
jise tum koste ho umr us kī aur baḌhtī hai
tumheñ sab kuchh to aayā kosnā ab tak nahīñ aayā
sitam karnā daġhā karnā ki va.ade kā vafā karnā
batāo kyā tumheñ aayā hai kyā ab tak nahīñ aayā
kisī ne koī dushman meñ chhupā Daalā miTā Daalā
galī to aa.ī un kā naqsh-e-pā ab tak nahīñ aayā
ye kyā insāf hai sayyād chhoḌe qaid se mujh ko
ki aisā koī murġh-e-ḳhush-navā ab tak nahīñ aayā
batā deñ aa gayā kyā tum ko is uThtī javānī meñ
batā deñ kaan meñ chupke se kyā ab tak nahīñ aayā
butān-e-nāznīñ jab dekhte haiñ mujh se kahte haiñ
tumhārī jaan par qahr-e-ḳhudā ab tak nahīñ aayā
kiyā hasrat se ruḳhsat sub.h ke tāroñ ko ye kah
ki jis kā shaam se thā aasrā ab tak nahīñ aayā
ye ġhaflat hai ki mahshar meñ bhī āñkheñ band haiñ merī
samajhtā huuñ yahī roz-e-jazā ab tak nahīñ aayā
na phūTī koī kopal tak mirī shāḳh-e-nasheman meñ
ḳhizāñ ke ba.ad mausam dūsrā ab tak nahīñ aayā
diyā ho to diyā ho kuchh payām-e-shauq āñkhoñ ne
mire lab par to harf-e-mudda.ā ab tak nahīñ aayā
is ubhre ubhre joban par yūñhī vo baiThe rah jaate
unheñ uThtī javānī kā mazā ab tak nahīñ aayā
vo din aa.e mire sarkār ahl-e-bazm se pūchheñ
kahāñ hai kyuuñ 'riyāz'-e-ḳhush-navā ab tak nahīñ aayā
hamein pine-pilane ka maza ab tak nahin aaya
ki bazm-e-mai mein koi parsa ab tak nahin aaya
sitam bhi lutf ho jata hai bhole-pan ki baaton se
tujhe ai jaan andaz-e-jafa ab tak nahin aaya
dam-e-aKHir the baalin pe jo aane ko wo aae bhi
to hans kar kah gae waqt-e-dua ab tak nahin aaya
sahar hote bujhae kaun ai sham-e-lahad tujh ko
koi jhonka nasim-e-subh ka ab tak nahin aaya
KHuda jaane hua kya kucha-e-jaanan mein dil ja kar
mera bhula hua bhaTka hua ab tak nahin aaya
gaya tha kah ke ye qasid ki ulTe panw aata hun
kahan kambaKHt ja kar mar raha ab tak nahin aaya
jise tum koste ho umr us ki aur baDhti hai
tumhein sab kuchh to aaya kosna ab tak nahin aaya
sitam karna dagha karna ki wade ka wafa karna
batao kya tumhein aaya hai kya ab tak nahin aaya
kisi ne koi dushman mein chhupa Dala miTa Dala
gali to aai un ka naqsh-e-pa ab tak nahin aaya
ye kya insaf hai sayyaad chhoDe qaid se mujh ko
ki aisa koi murgh-e-KHush-nawa ab tak nahin aaya
bata den aa gaya kya tum ko is uThti jawani mein
bata den kan mein chupke se kya ab tak nahin aaya
butan-e-naznin jab dekhte hain mujh se kahte hain
tumhaari jaan par qahr-e-KHuda ab tak nahin aaya
kiya hasrat se ruKHsat subh ke taron ko ye kah
ki jis ka sham se tha aasra ab tak nahin aaya
ye ghaflat hai ki mahshar mein bhi aankhen band hain meri
samajhta hun yahi roz-e-jaza ab tak nahin aaya
na phuTi koi kopal tak meri shaKH-e-nasheman mein
KHizan ke baad mausam dusra ab tak nahin aaya
diya ho to diya ho kuchh payam-e-shauq aankhon ne
mere lab par to harf-e-muddaa ab tak nahin aaya
is ubhre ubhre joban par yunhi wo baiThe rah jate
unhen uThti jawani ka maza ab tak nahin aaya
wo din aae mere sarkar ahl-e-bazm se puchhen
kahan hai kyun 'riyaz'-e-KHush-nawa ab tak nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.