hamein sath mil to gaya tha kisi ka
hameñ saath mil to gayā thā kisī kā
magar muḳhtasar thā safar zindagī kā
kahāñ aa ga.e ham bhaTakte bhaTakte
yahāñ to nishāñ tak nahīñ raushnī kā
tamaddun kī ye kaunsī manzileñ haiñ
ki dushman huā aadmī aadmī kā
vafā ek muddat huī miT chukī hai
kahāñ naam lete ho ab dostī kā
agar saath hote vo in rāstoñ par
to kyā haal hotā mirī āgahī kā
mire haal par muskurā kar ga.e haiñ
chalo haq adā ho gayā dostī kā
hamein sath mil to gaya tha kisi ka
magar muKHtasar tha safar zindagi ka
kahan aa gae hum bhaTakte bhaTakte
yahan to nishan tak nahin raushni ka
tamaddun ki ye kaunsi manzilen hain
ki dushman hua aadmi aadmi ka
wafa ek muddat hui miT chuki hai
kahan nam lete ho ab dosti ka
agar sath hote wo in raston par
to kya haal hota meri aagahi ka
mere haal par muskura kar gae hain
chalo haq ada ho gaya dosti ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.