hamein shak tha hamara qatilon mein nam aaega
hamein shak tha hamara qatilon mein nam aaega
Dharvendra Singh Bedar
MORE BYDharvendra Singh Bedar
hameñ shak thā hamārā qātiloñ meñ naam aa.egā
hamāre sar vafā ke qatl kā ilzām aa.egā
tirī nazreñ haiñ mai-ḳhāna piyeñge ham bhī paimāna
tirī nazroñ se ulfat kā kabhī to jaam aa.egā
chale the ham mohabbat ke safar par muddatoñ pahle
ḳhudā jaane kab is āġhāz kā anjām aa.egā
hameñ buzdil samajhne kī zarā bhī bhuul mat karnā
kisī din sar hamārā bhī vatan ke kaam aa.egā
hamein shak tha hamara qatilon mein nam aaega
hamare sar wafa ke qatl ka ilzam aaega
teri nazren hain mai-KHana piyenge hum bhi paimana
teri nazron se ulfat ka kabhi to jam aaega
chale the hum mohabbat ke safar par muddaton pahle
KHuda jaane kab is aaghaz ka anjam aaega
hamein buzdil samajhne ki zara bhi bhul mat karna
kisi din sar hamara bhi watan ke kaam aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.