hamein tabir pahle di gai phir KHwab utre
hameñ ta.abīr pahle dī ga.ī phir ḳhvāb utre
kitāb-e-zindagī ke is tarah kuchh baab utre
mirī āñkhoñ se le le raushnī aur nuur kar de
kisī qīmat pe mālik manzar-e-shab-tāb utre
khule bartan uThā kar rakh diye jo bārishoñ meñ
yahāñ vo rah ga.e ḳhālī vahāñ sailāb utre
tahā.if kī jinheñ ummīd thī vo muntazir haiñ
musāfir aa chukā hai ab zarā asbāb utre
bahut aañsū bahā.e chāhatoñ kī ibtidā meñ
baḌī mushkil se ham par ishq ke ādāb utre
samundar ne kahānī muḳhtasar kar ke kahā bas
bahut girdāb utre aur bas girdāb utre
ḳhizāñ se nisbateñ itnī purānī aur phir bhī
unhī logoñ pe lahje is qadar shādāb utre
hamein tabir pahle di gai phir KHwab utre
kitab-e-zindagi ke is tarah kuchh bab utre
meri aankhon se le le raushni aur nur kar de
kisi qimat pe malik manzar-e-shab-tab utre
khule bartan uTha kar rakh diye jo barishon mein
yahan wo rah gae KHali wahan sailab utre
tahaif ki jinhen ummid thi wo muntazir hain
musafir aa chuka hai ab zara asbab utre
bahut aansu bahae chahaton ki ibtida mein
baDi mushkil se hum par ishq ke aadab utre
samundar ne kahani muKHtasar kar ke kaha bas
bahut girdab utre aur bas girdab utre
KHizan se nisbaten itni purani aur phir bhi
unhi logon pe lahje is qadar shadab utre
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 37)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.