Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai

Pramod Sharma Asar

hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai

Pramod Sharma Asar

MORE BYPramod Sharma Asar

    hameñ taqsīm karne hunar un par nirālā hai

    magar un ko harāne irāda ham ne paalā hai

    zamāne bhar ke ranj-o-ġham kabhī mujh ko diye us ne

    kabhī jab laḌkhaḌāyā to mujhe baḌh kar sambhālā hai

    makhoTe vo sadā jhūTe lagā kar ham se hai miltā

    bahut shātir paḌosī hai janam se dekhā-bhālā hai

    kiyā jo bazm meñ zikr-e-vafā un to vo bole

    nahīñ jo mudda.ā us baat ko phir kyuuñ uchhālā hai

    kisī se qarz le kar shahr ko phir jā.egā 'hariyā'

    adālat ne jo is faisla kal pe Taalā hai

    bike haiñ log dene ko gavāhī jhuuT ke haq meñ

    magar sach jānte haiñ jo unhīñ ke muñh pe taalā hai

    burā.ī ḳhatm karne ko buroñ haath bhī thāmā

    'asar' kāñTe se ham ne paaoñ kāñTā nikālā hai

    hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai

    magar un ko harane ka irada hum ne pala hai

    zamane bhar ke ranj-o-gham kabhi mujh ko diye us ne

    kabhi jab laDkhaDaya to mujhe baDh kar sambhaala hai

    makhoTe wo sada jhuTe laga kar hum se hai milta

    bahut shatir paDosi hai janam se dekha-bhaala hai

    kiya jo bazm mein zikr-e-wafa un ki to wo bole

    nahin jo muddaa us baat ko phir kyun uchhaala hai

    kisi se qarz le kar shahr ko phir jaega 'hariya'

    adalat ne jo is ka faisla hi kal pe Tala hai

    bike hain log dene ko gawahi jhuT ke haq mein

    magar sach jaante hain jo unhin ke munh pe tala hai

    burai KHatm karne ko buron ka hath bhi thama

    'asar' kanTe se hum ne paon ka kanTa nikala hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Pramod Sharma Asar

    Pramod Sharma Asar

    RECITATIONS

    Pramod Sharma Asar

    Pramod Sharma Asar,

    Pramod Sharma Asar

    hamein taqsim karne ka hunar un par nirala hai Pramod Sharma Asar

    Source :
    • Book : Rang Sapno ke (Pg. 109)
    • Author : Pramod Sharma 'Asar'
    • Publication : Amrit Parkashan (2016)
    • Edition : 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now