hamein to dekhna hai himmat-o-jurat kahan tak hai
hamein to dekhna hai himmat-o-jurat kahan tak hai
Om Prakash Laghar
MORE BYOm Prakash Laghar
hameñ to dekhnā hai himmat-o-jur.at kahāñ tak hai
hamārī zindagī varna faqat zabt-e-fuġhāñ tak hai
junūn-e-'ishq meñ āh-o-fuġhāñ shikva gila kaisā
agar hai bhī to vo āḳhir hamāre mehrbāñ tak hai
junūñ kī vus'atoñ kā koī andāza na kar paayā
rasā.ī aql-e-insāñ kī faqat sūd-o-ziyāñ tak hai
qadam chalne se qāsir haiñ añdherī raat hai sar par
batā de kaash ye koī mujhe chalnā kahāñ tak hai
kisī bhī āstāñ par ab ḳhudī jaane nahīñ detī
hamārī iltijā to mālik-e-kaun-o-makāñ tak hai
hamesha ahl-e-dil hī vaqt ke dhāre badalte haiñ
jo buzdil haiñ rasā.ī un kī bas āh-o-fuġhāñ tak hai
pas-e-murdan koī bhī naam tak un kā nahīñ letā
jo samjhe the hamārā tazkira rahte jahāñ tak hai
bahār-e-gulsitāñ to hai ḳhudā ke haath ai 'lāġhar'
bas ik farz-e-nigahbānī nigāh-e-bāġhbāñ tak hai
hamein to dekhna hai himmat-o-jurat kahan tak hai
hamari zindagi warna faqat zabt-e-fughan tak hai
junun-e-'ishq mein aah-o-fughan shikwa gila kaisa
agar hai bhi to wo aaKHir hamare mehrban tak hai
junun ki wus'aton ka koi andaza na kar paya
rasai aql-e-insan ki faqat sud-o-ziyan tak hai
qadam chalne se qasir hain andheri raat hai sar par
bata de kash ye koi mujhe chalna kahan tak hai
kisi bhi aastan par ab KHudi jaane nahin deti
hamari iltija to malik-e-kaun-o-makan tak hai
hamesha ahl-e-dil hi waqt ke dhaare badalte hain
jo buzdil hain rasai un ki bas aah-o-fughan tak hai
pas-e-murdan koi bhi nam tak un ka nahin leta
jo samjhe the hamara tazkira rahte jahan tak hai
bahaar-e-gulsitan to hai KHuda ke hath ai 'laghar'
bas ek farz-e-nigahbani nigah-e-baghban tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.