hamein to ek hi chehra dikhai deta hai
hameñ to ek hī chehra dikhā.ī detā hai
jise bhī dekhiye apnā dikhā.ī detā hai
ye kis ne aise ujāloñ kī aarzū kī thī
har ek ghar yahāñ jaltā dikhā.ī detā hai
na.ī sahar ne ujāle janam diye haiñ magar
ye ḳhvāb phir bhī adhūrā dikhā.ī detā hai
yahāñ jo bāñTtā phirtā hai tishnagī kā bharam
mujhe to ḳhud bhī vo pyāsā dikhā.ī detā hai
talāsh hai mujhe us mehrbāñ kī muddat se
jo mahfiloñ meñ bhī tanhā dikhā.ī detā hai
dhuāñ hai jalte hue ghar sulagte nazzāre
maiñ kyā batā.ūñ ki kyā kyā dikhā.ī detā hai
ise bhī kījiye apne giroh meñ shāmil
ye shaḳhs apne hī jaisā dikhā.ī detā hai
ye kaisī aag meñ ham log jal rahe haiñ 'ra.īs'
har ik vajūd pighaltā dikhā.ī detā hai
hamein to ek hi chehra dikhai deta hai
jise bhi dekhiye apna dikhai deta hai
ye kis ne aise ujalon ki aarzu ki thi
har ek ghar yahan jalta dikhai deta hai
nai sahar ne ujale janam diye hain magar
ye KHwab phir bhi adhura dikhai deta hai
yahan jo banTta phirta hai tishnagi ka bharam
mujhe to KHud bhi wo pyasa dikhai deta hai
talash hai mujhe us mehrban ki muddat se
jo mahfilon mein bhi tanha dikhai deta hai
dhuan hai jalte hue ghar sulagte nazzare
main kya bataun ki kya kya dikhai deta hai
ise bhi kijiye apne giroh mein shamil
ye shaKHs apne hi jaisa dikhai deta hai
ye kaisi aag mein hum log jal rahe hain 'rais'
har ek wajud pighalta dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.