hamein to gosha-nashin aur jahan bhi hona hai
hameñ to gosha-nashīñ aur jahāñ bhī honā hai
yahāñ bhī honā hai ham ko vahāñ bhī honā hai
nishān bhī hai lagānā nishāñ bhī honā hai
makāñ meñ rahte hue lā-makāñ bhī honā hai
is ehtiyāt se karnā hai zindagī apnī
akelā chalnā hai aur kārvāñ bhī honā hai
zamīñ meñ rakhte haiñ paivast apnī duniyā ko
zamīñ pe rahte hue āsmāñ bhī honā hai
ik aisī qaid bhī ab ḳhud pe yuuñ lagānī hai
zabān rakhte hue be-zabāñ bhī honā hai
hamein to gosha-nashin aur jahan bhi hona hai
yahan bhi hona hai hum ko wahan bhi hona hai
nishan bhi hai lagana nishan bhi hona hai
makan mein rahte hue la-makan bhi hona hai
is ehtiyat se karna hai zindagi apni
akela chalna hai aur karwan bhi hona hai
zamin mein rakhte hain paiwast apni duniya ko
zamin pe rahte hue aasman bhi hona hai
ek aisi qaid bhi ab KHud pe yun lagani hai
zaban rakhte hue be-zaban bhi hona hai
- Book : سخن دریا (Pg. 102)
- Author : عبید الرحمن
- Publication : عرشیہ پبلی کیشن
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.