hamein to ishq mein sab kaam achchhe lag rahe the
hameñ to ishq meñ sab kaam achchhe lag rahe the
yahāñ tak ki sabhī ilzām achchhe lag rahe the
sunā.e jā rahe the ishq-e-shorīda ke qisse
hameñ qisse nahīñ anjām achchhe lag rahe the
yaqīñ kī manziloñ se go ki aage jā rahe the
pas-e-manzar magar auhām achchhe lag rahe the
shab-e-tārīk meñ shab-tāb anjum āsmāñ pe
ye donoñ barsar-e-paiġhām achchhe lag rahe the
niko-kārī kā dushnāmī sila hai kyā gila hai
ki ham badnām haiñ badnām achchhe lag rahe the
raqībāñ ḳhush the sher-e-shoḳh ke tevar pe ham bhī
ki un sheroñ ke sab īhām achchhe lag rahe the
miyāñ majnūñ bhī gum the najd kī uryāniyoñ meñ
pe ham sahrā meñ bā-ehrām achchhe lag rahe the
namāz-e-ishq adā karne kī koī jā nahīñ thī
so ye sajde hameñ har-gām achchhe lag rahe the
vo vaslat bhī koī vaslat ki jaañ āsūda-ḳhātir
firāqoñ meñ 'anīs'-e-ḳhām achchhe lag rahe the
hamein to ishq mein sab kaam achchhe lag rahe the
yahan tak ki sabhi ilzam achchhe lag rahe the
sunae ja rahe the ishq-e-shorida ke qisse
hamein qisse nahin anjam achchhe lag rahe the
yaqin ki manzilon se go ki aage ja rahe the
pas-e-manzar magar auham achchhe lag rahe the
shab-e-tarik mein shab-tab anjum aasman pe
ye donon barsar-e-paigham achchhe lag rahe the
niko-kari ka dushnami sila hai kya gila hai
ki hum badnam hain badnam achchhe lag rahe the
raqiban KHush the sher-e-shoKH ke tewar pe hum bhi
ki un sheron ke sab iham achchhe lag rahe the
miyan majnun bhi gum the najd ki uryaniyon mein
pe hum sahra mein ba-ehram achchhe lag rahe the
namaz-e-ishq ada karne ki koi ja nahin thi
so ye sajde hamein har-gam achchhe lag rahe the
wo waslat bhi koi waslat ki jaan aasuda-KHatir
firaqon mein 'anis'-e-KHam achchhe lag rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.