hamein to jism se bahar khula sa lagta hai
hameñ to jism se bāhar khulā sā lagtā hai
ye jism ruuh pe lipTī ridā sā lagtā hai
har ek chehre pe kuchh rang hai kudūrat kā
tamām shahr kā mausam ḳhafā sā lagtā hai
suḳhan fareboñ ko rakhtā hai vo aziiz magar
mirā ḳhulūs use be-mazā sā lagtā hai
vajūd us kā munavvar hai us kī sīrat se
vo aadmī hai magar aa.ina sā lagtā hai
tumhārī zaat pe kartā hai jab koī tanqīd
ḳhudā hī jaane mujhe kyoñ burā sā lagtā hai
amīr-e-shahr kā kirdār hī nahīñ khultā
kabhī harīf kabhī ham-navā sā lagtā hai
'niyāz' fikr dikhātī hai jab kabhī e.ajāz
purānā lafz bhī bilkul nayā sā lagtā hai
hamein to jism se bahar khula sa lagta hai
ye jism ruh pe lipTi rida sa lagta hai
har ek chehre pe kuchh rang hai kudurat ka
tamam shahr ka mausam KHafa sa lagta hai
suKHan farebon ko rakhta hai wo aziz magar
mera KHulus use be-maza sa lagta hai
wajud us ka munawwar hai us ki sirat se
wo aadmi hai magar aaina sa lagta hai
tumhaari zat pe karta hai jab koi tanqid
KHuda hi jaane mujhe kyon bura sa lagta hai
amir-e-shahr ka kirdar hi nahin khulta
kabhi harif kabhi ham-nawa sa lagta hai
'niyaz' fikr dikhati hai jab kabhi eajaz
purana lafz bhi bilkul naya sa lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.