hamein to KHwabon ki wadiyon mein hayat ko hai tamam karna
hamein to KHwabon ki wadiyon mein hayat ko hai tamam karna
Zafar Sambhali
MORE BYZafar Sambhali
hameñ to ḳhvāboñ kī vādiyoñ meñ hayāt ko hai tamām karnā
tumhārī yādoñ meñ sub.h karnā tumhārī yādoñ meñ shaam karnā
bhulāne vaale kā yaad aanā sitam nahīñ hai to aur kyā hai
ki ḳhud to ishrat kī niiñd sonā hamārī nīñdeñ harām karnā
banā ke apnā badalne vaale hai yaad ham ko bhī vo zamāna
tapāk se terā ham se milnā vo terā hañs kar kalām karnā
mirā muqaddar hai nā-murādī maiñ ġham kā ḳhūgar maiñ ġham kā aadī
tujhe bhī gar koī ġham mile to use bhī mere hī naam karnā
bichhaḌ ke bhī us se rābta hai ye silsila hai ye mashġhala hai
usī kī yādoñ meñ kho.e rahnā ḳhayāl meñ sub.h-o-shām karnā
mire fasāne kā vo hai unvāñ ye baat ab is pe munhasir hai
mirī mohabbat kā ye fasāna tamām yā nā-tamām karnā
haiñ mai-kade meñ sabhī barābar ye baat achchhī nahīñ hai saaqī
kisī ko jām-e-sharāb denā kisī ko mahrūm-e-jām karnā
mire nasheman kā ye chaman ab na jaane kyoñ tang ho gayā hai
isī chaman ko sikhāyā maiñ ne bahār kā ehtirām karnā
qafas se chhuT kar asiir jis dam chaman meñ aa.e to haal ye thā
kabhī nasheman ke bose lenā kabhī guloñ se kalām karnā
maiñ tark-e-ulfat to tum se kar luuñ magar mirī shart sirf ye hai
kabhī nazar se girā na denā kabhī na ye baat aam karnā
'zafar' tirī dāstān-e-ġham meñ bas ek lafz-e-vafā hai kaafī
ye dāstāñ jab sunā.ī jaa.e to is ko harf-e-tamām karnā
hamein to KHwabon ki wadiyon mein hayat ko hai tamam karna
tumhaari yaadon mein subh karna tumhaari yaadon mein sham karna
bhulane wale ka yaad aana sitam nahin hai to aur kya hai
ki KHud to ishrat ki nind sona hamari ninden haram karna
bana ke apna badalne wale hai yaad hum ko bhi wo zamana
tapak se tera hum se milna wo tera hans kar kalam karna
mera muqaddar hai na-muradi main gham ka KHugar main gham ka aadi
tujhe bhi gar koi gham mile to use bhi mere hi nam karna
bichhaD ke bhi us se rabta hai ye silsila hai ye mashghala hai
usi ki yaadon mein khoe rahna KHayal mein subh-o-sham karna
mere fasane ka wo hai unwan ye baat ab is pe munhasir hai
meri mohabbat ka ye fasana tamam ya na-tamam karna
hain mai-kade mein sabhi barabar ye baat achchhi nahin hai saqi
kisi ko jam-e-sharab dena kisi ko mahrum-e-jam karna
mere nasheman ka ye chaman ab na jaane kyon tang ho gaya hai
isi chaman ko sikhaya main ne bahaar ka ehtiram karna
qafas se chhuT kar asir jis dam chaman mein aae to haal ye tha
kabhi nasheman ke bose lena kabhi gulon se kalam karna
main tark-e-ulfat to tum se kar lun magar meri shart sirf ye hai
kabhi nazar se gira na dena kabhi na ye baat aam karna
'zafar' teri dastan-e-gham mein bas ek lafz-e-wafa hai kafi
ye dastan jab sunai jae to is ko harf-e-tamam karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.