hamein umr-bhar ishq karna na aaya
hameñ 'umr-bhar 'ishq karnā na aayā
kisī kī adāoñ pe marnā na aayā
kaTā aa.e sar hī tumhārī galī meñ
kabhī sar jhukā kar guzarnā na aayā
tumhārī tarah ham kabhī ho na paa.e
hameñ baat kar ke mukarnā na aayā
muqaddar ko ham ne kabhī kuchh na samjhā
muqaddar se takrār karnā na aayā
hameñ tez chalne kī 'ādat nahīñ thī
zarā der tum ko Thaharnā na aayā
maiñ ḳhushbū huuñ lekin guloñ meñ huuñ pinhāñ
havāoñ meñ mujh ko bikharnā na aayā
huā shauq ham ko bigaḌne kā 'shā.eq'
bigaḌ to ga.e phir sañvarnā na aayā
hamein 'umr-bhar 'ishq karna na aaya
kisi ki adaon pe marna na aaya
kaTa aae sar hi tumhaari gali mein
kabhi sar jhuka kar guzarna na aaya
tumhaari tarah hum kabhi ho na pae
hamein baat kar ke mukarna na aaya
muqaddar ko hum ne kabhi kuchh na samjha
muqaddar se takrar karna na aaya
hamein tez chalne ki 'adat nahin thi
zara der tum ko Thaharna na aaya
main KHushbu hun lekin gulon mein hun pinhan
hawaon mein mujh ko bikharna na aaya
hua shauq hum ko bigaDne ka 'shaeq'
bigaD to gae phir sanwarna na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.