hamein usne sabhi ahwal se anjaan rakkha
hameñ us ne sabhī ahvāl se anjān rakkhā
hamāre aur apne biich parda taan rakkhā
kabhī hadd-e-nazar meñ aur kabhī imkāñ se bāhar
hameñ to us ne saarī zindagī hairān rakkhā
mirī parvāz kī had jāntā thā is liye bhī
mire uupar ye niilā āsmāñ nigrān rakkhā
zarā ruknā ki maiñ is bojh se āzād ho luuñ
ki tāq-e-dil meñ hai duniyā kā kuchh sāmān rakkhā
mohabbat kī qasam vo mujh se lenā chāhtā thā
so in hāthoñ pe lā ke 'mīr' kā dīvān rakkhā
hamein us ne sabhi ahwal se anjaan rakkha
hamare aur apne bich parda tan rakkha
kabhi hadd-e-nazar mein aur kabhi imkan se bahar
hamein to us ne sari zindagi hairan rakkha
meri parwaz ki had jaanta tha is liye bhi
mere upar ye nila aasman nigran rakkha
zara rukna ki main is bojh se aazad ho lun
ki taq-e-dil mein hai duniya ka kuchh saman rakkha
mohabbat ki qasam wo mujh se lena chahta tha
so in hathon pe la ke 'mir' ka diwan rakkha
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 14.05.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.