hamein ye ishq hijabi bana ke rakhna hai
hameñ ye 'ishq hijābī banā ke rakhnā hai
badan kī bhuuk se duurī banā ke rakhnā hai
zarā sī baat thī aur us ne toḌ dī taḳhtī
vo kah rahā hai udāsī banā ke rakhnā hai
na jaane kaun se lamhe meñ thaam le ham ko
hameñ to ḳhud ko hathelī banā ke rakhnā hai
huqūq sab ke nibhāne haiñ ham ko duniyā meñ
hameñ to maañ ko bhī raanī banā ke rakhnā hai
hamārī jang hai apnoñ se ro nahīñ sakte
hameñ in āñkhoñ ko ziddī banā ke rakhnā hai
hamein ye 'ishq hijabi bana ke rakhna hai
badan ki bhuk se duri bana ke rakhna hai
zara si baat thi aur us ne toD di taKHti
wo kah raha hai udasi bana ke rakhna hai
na jaane kaun se lamhe mein tham le hum ko
hamein to KHud ko hatheli bana ke rakhna hai
huquq sab ke nibhane hain hum ko duniya mein
hamein to man ko bhi rani bana ke rakhna hai
hamari jang hai apnon se ro nahin sakte
hamein in aankhon ko ziddi bana ke rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.