hamein yun laga ki apnon mein adu ubhar gae hain
hamein yun laga ki apnon mein adu ubhar gae hain
Khateeb Rafatullah Rafat
MORE BYKhateeb Rafatullah Rafat
hameñ yuuñ lagā ki apnoñ meñ adū ubhar ga.e haiñ
hai fazā vatan kī aisī yahāñ log Dar ga.e haiñ
na rahī hai vo muravvat na rahī vo ḳhush-mizājī
kahīñ ham bisar ga.e haiñ kahīñ ham bikhar ga.e haiñ
hameñ ek din kā arsa baḌā bhārī lag rahā hai
kabhī be-hisī meñ apne ka.ī din guzar ga.e haiñ
na duā.eñ sidq dil kī na fazā qubūliyat kī
bhare dil se nikle naale ka.ī be-asar ga.e haiñ
kabhī yuuñ lagā janāza koī khilkhilā uThā hai
kabhī yuuñ lagā ki saf meñ ye namāzī mar ga.e haiñ
jahāñ logoñ kī hamīyat meñ haqīqī tamkanat thī
to zabān ke sitāre baḌe auj par ga.e haiñ
kisī rāh-rau kī jānib se koī mutālba hai
koī baat hai jo 'raf'at' ke qadam Thahar ga.e haiñ
hamein yun laga ki apnon mein adu ubhar gae hain
hai faza watan ki aisi yahan log Dar gae hain
na rahi hai wo murawwat na rahi wo KHush-mizaji
kahin hum bisar gae hain kahin hum bikhar gae hain
hamein ek din ka arsa baDa bhaari lag raha hai
kabhi be-hisi mein apne kai din guzar gae hain
na duaen sidq dil ki na faza qubuliyat ki
bhare dil se nikle nale kai be-asar gae hain
kabhi yun laga janaza koi khilkhila uTha hai
kabhi yun laga ki saf mein ye namazi mar gae hain
jahan logon ki hamiyat mein haqiqi tamkanat thi
to zaban ke sitare baDe auj par gae hain
kisi rah-rau ki jaanib se koi mutalba hai
koi baat hai jo 'raf'at' ke qadam Thahar gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.