hamesha bait-e-wafa ka tawaf maine kiya
hamesha bait-e-vafā kā tavāf maiñ ne kiyā
ḳhatā udhar se huī e'tirāf maiñ ne kiyā
mirā zamīr hai munsif mujhe sazā degā
sadāqatoñ se agar inhirāf maiñ ne kiyā
dikhā ke logoñ ko ā.īna kyā milā mujh ko
tamām shahr ko apne ḳhilāf maiñ ne kiyā
sazā na de ke sabaq de diyā sitamgar ko
ḳhushī kī baat hai us ko mu'āf maiñ ne kiyā
mirā mizāj nahīñ haañ meñ haañ milāne kā
ġhalat thī baat tirī iḳhtilāf maiñ ne kiyā
mirī ḳhushī kā vo qātil thā bāvajūd is ke
'shafīq' us ko bhī dil se mu'āf maiñ ne kiyā
hamesha bait-e-wafa ka tawaf main ne kiya
KHata udhar se hui e'tiraf main ne kiya
mera zamir hai munsif mujhe saza dega
sadaqaton se agar inhiraf main ne kiya
dikha ke logon ko aaina kya mila mujh ko
tamam shahr ko apne KHilaf main ne kiya
saza na de ke sabaq de diya sitamgar ko
KHushi ki baat hai us ko mu'af main ne kiya
mera mizaj nahin han mein han milane ka
ghalat thi baat teri iKHtilaf main ne kiya
meri KHushi ka wo qatil tha bawajud is ke
'shafiq' us ko bhi dil se mu'af main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.