Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hamesha hi raha uncha jhuka hargiz na sar barson

Hameed Dilkash Khandwi

hamesha hi raha uncha jhuka hargiz na sar barson

Hameed Dilkash Khandwi

MORE BYHameed Dilkash Khandwi

    hamesha rahā ūñchā jhukā hargiz na sar barsoñ

    rahā begam ke aage aur aalam digar barsoñ

    bahut din ho ga.e begam ne mujh ko laat maarī thī

    bas us ik laat ke sadqe rahī TeḌhī kamar barsoñ

    vo donoñ chāhte the un ghar-dāmād ban jā.ūñ

    paTāte rahe mujh ko mirī saas aur susar barsoñ

    karā.ī ḳhuub mālish ḳhuub apne paañv dabvā.e

    magar ustād ne baḳhshā nahīñ apnā hunar barsoñ

    buḌhāpe meñ jo shādī to rāteñ khāñste guzrīñ

    rahe ham un ke bodyguard ban kar bā-ḳhabar barsoñ

    ḳhudā den to dekho hue har saal bachche

    langoTī chhoḌ aate the nahīñ jaate the ghar barsoñ

    proof apnī mohabbat diyā hai ham ne yuuñ 'dilkash'

    sugar wife ko thī ham ne nahīñ khaa.ī shakar barsoñ

    hamesha hi raha uncha jhuka hargiz na sar barson

    raha begam ke aage aur hi aalam digar barson

    bahut din ho gae begam ne mujh ko lat mari thi

    bas us ek lat ke sadqe rahi TeDhi kamar barson

    wo donon chahte the un ka ghar-damad ban jaun

    paTate hi rahe mujh ko meri sas aur susar barson

    karai KHub malish KHub apne panw dabwae

    magar ustad ne baKHsha nahin apna hunar barson

    buDhape mein jo shadi ki to raaten khanste guzrin

    rahe hum un ke bodyguard ban kar ba-KHabar barson

    KHuda ki den to dekho hue har sal hi bachche

    langoTi chhoD aate the nahin jate the ghar barson

    proof apni mohabbat ka diya hai hum ne yun 'dilkash'

    sugar wife ko thi hum ne nahin khai shakar barson

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now