hamesha hi se rahti hai ye duniya bad-guman humse
hamesha hī se rahtī hai ye duniyā bad-gumāñ ham se
mohabbat kī zamāne meñ hai jabki dāstāñ ham se
hamesha rūThā rūThā lagtā hai ye āsmāñ ham se
tabhī to le rahā har din ye 'ātif' imtihāñ ham se
koī bhī hukm kartā hai vo nāfiz baa'd meñ yaaro
ijāzat letā hai pahle amīr-e-kārvāñ ham se
use lagtā hai shāyad is chaman ke gul nahīñ haiñ ham
ḳhafā rahtā hai shāyad is liye hī bāġhbāñ ham se
mahak miTTī kī merī ruuh par ābād hai jis kī
vahī chhīnā gayā hai kyoñ ai yaaro gulsitāñ ham se
jinheñ kal bolnā ham ne sikhāyā thā zamāne meñ
laḌāte haiñ vahī ab dosto dekho zabāñ ham se
vo sūraj se bachātā kyā usī ko sauñp kar ham ko
chalā aayā hai dāman ko chhuḌā kar sā.ebāñ ham se
hamesha hi se rahti hai ye duniya bad-guman hum se
mohabbat ki zamane mein hai jabki dastan hum se
hamesha ruTha ruTha lagta hai ye aasman hum se
tabhi to le raha har din ye 'atif' imtihan hum se
koi bhi hukm karta hai wo nafiz ba'd mein yaro
ijazat leta hai pahle amir-e-karwan hum se
use lagta hai shayad is chaman ke gul nahin hain hum
KHafa rahta hai shayad is liye hi baghban hum se
mahak miTTi ki meri ruh par aabaad hai jis ki
wahi chhina gaya hai kyon ai yaro gulsitan hum se
jinhen kal bolna hum ne sikhaya tha zamane mein
laDate hain wahi ab dosto dekho zaban hum se
wo suraj se bachata kya usi ko saunp kar hum ko
chala aaya hai daman ko chhuDa kar saeban hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.