hamesha insaniyat ka dushman raha raqabat ka taziyana
hamesha insaniyat ka dushman raha raqabat ka taziyana
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
hamesha insāniyat kā dushman rahā raqābat kā tāziyāna
jidhar havā sāzgār dekhī uThā udhar chal paḌā zamāna
diloñ kī hālat ḳhudā hī jaane kalām lekin hai muḳhlisāna
nazar kā har fe'l mushfiqāna zabān kī bāteñ mukrimāna
tumhārī nazreñ harīs nazreñ ba-zo'm-e-zar chheḌ kar rahī haiñ
magar hamāre bhī sabr-e-paiham ko bhuul saktā nahīñ zamāna
ḳhudā ko maano hameñ na chheḌo nazar na Daalo hamāre dil par
na jam sakā hai na jam sakegā kabhī jo qabza ho ġhāsibāna
tumhārī bāteñ 'ajīb bāteñ na sar hī sālim na pair qaa.em
na ‘ālimāna na ‘āqilāna na ‘ārifāna na shā’irāna
huzūr hālāt mushtaba haiñ mañDhe chaḌhegī ye bel kyūñkar
hamāre iqdām dostāna tumhārī fitrat muḳhālifāna
hamesha insaniyat ka dushman raha raqabat ka taziyana
jidhar hawa sazgar dekhi uTha udhar chal paDa zamana
dilon ki haalat KHuda hi jaane kalam lekin hai muKHlisana
nazar ka har fe'l mushfiqana zaban ki baaten mukrimana
tumhaari nazren haris nazren ba-zo'm-e-zar chheD kar rahi hain
magar hamare bhi sabr-e-paiham ko bhul sakta nahin zamana
KHuda ko mano hamein na chheDo nazar na Dalo hamare dil par
na jam saka hai na jam sakega kabhi jo qabza ho ghasibana
tumhaari baaten 'ajib baaten na sar hi salim na pair qaem
na ‘alimana na ‘aqilana na ‘arifana na sha’irana
huzur haalat mushtaba hain manDhe chaDhegi ye bel kyunkar
hamare iqdam dostana tumhaari fitrat muKHalifana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.