hamesha mausam-e-gul hae tar nahin rahta
hamesha mausam-e-gul haa.e tar nahīñ rahtā
tamām umr koī ham-safar nahīñ rahtā
junūn-e-ishq meñ kyā terā ghar talāsh karūñ
mirī nigāh meñ ḳhud merā ghar nahīñ rahtā
ajiib rābta-e-husn-o-ishq hai jis meñ
ḳhayāl-e-sāya-e-dīvār-o-dar nahīñ rahtā
ye aur baat ki terī ḳhabar na ho mujh ko
magar maiñ ḳhud se kabhī be-ḳhabar nahīñ rahtā
batā rahā hai ye merā mushāhida mujh ko
rafāqatoñ kā shajar be-samar nahīñ rahtā
hamāre pesh-e-nazar aa.ine to rahte haiñ
magar nigāh meñ ā.īna-gar nahīñ rahtā
jo e.atibār kī had se guzar gayā 'aḳhtar'
kisī nazar meñ bhī vo mo'atabar nahīñ rahtā
hamesha mausam-e-gul hae tar nahin rahta
tamam umr koi ham-safar nahin rahta
junun-e-ishq mein kya tera ghar talash karun
meri nigah mein KHud mera ghar nahin rahta
ajib rabta-e-husn-o-ishq hai jis mein
KHayal-e-saya-e-diwar-o-dar nahin rahta
ye aur baat ki teri KHabar na ho mujh ko
magar main KHud se kabhi be-KHabar nahin rahta
bata raha hai ye mera mushahida mujh ko
rafaqaton ka shajar be-samar nahin rahta
hamare pesh-e-nazar aaine to rahte hain
magar nigah mein aaina-gar nahin rahta
jo eatibar ki had se guzar gaya 'aKHtar'
kisi nazar mein bhi wo mo'atabar nahin rahta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.