hamesha mila kar mujhe munh andhere
hamesha milā kar mujhe muñh añdhere
ye din to haiñ dushman mirī jaan mere
havā darmiyāñ se guzarne na paa.e
raheñ tang bāhoñ ke itne ye ghere
hai mā'qūl mausam parindoñ kī chāhat
shajar ko bharam ye ki haiñ dost mere
samundar mubārak tujhe terī 'azmat
mujhe bhā ga.e haiñ ye vīrāñ jazīre
kisī kī havelī meñ pasrā añdherā
chaman ke musāfir ke sahrā meñ Dere
shajar aise lagte haiñ kohre meñ mujh ko
ki raste meñ jaise khaḌe hoñ luTere
hamesha mila kar mujhe munh andhere
ye din to hain dushman meri jaan mere
hawa darmiyan se guzarne na pae
rahen tang bahon ke itne ye ghere
hai ma'qul mausam parindon ki chahat
shajar ko bharam ye ki hain dost mere
samundar mubarak tujhe teri 'azmat
mujhe bha gae hain ye viran jazire
kisi ki haweli mein pasra andhera
chaman ke musafir ke sahra mein Dere
shajar aise lagte hain kohre mein mujh ko
ki raste mein jaise khaDe hon luTere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.