hamin jaise bina patwar dariya par karte hain
hamin jaise bina patwar dariya par karte hain
Charan Singh Bashar
MORE BYCharan Singh Bashar
hamīñ jaise binā patvār dariyā paar karte haiñ
vo kyā maujoñ se Takrā.eñge jo paanī se Darte haiñ
unhīñ ko ai vatan kyoñ hāshiye pe rakkhā jaatā hai
tirī sūrat meñ jo ḳhūn-e-jigar se rang bharte haiñ
agar zinda hī rahnā hai to rahiye apnī shartoñ par
ki ḳhuddārī se ḳhālī log sau sau baar marte haiñ
ġhanīmat hai bachā rakkhā hai ham ne rang-o-ḳhushbū ko
ki ham vo phuul haiñ jo roz sho'loñ se guzarte haiñ
'bashar' sach bolne vāloñ ko koī kyā Darā.egā
jo Darte haiñ ḳhudā se vo kahāñ duniyā se Darte haiñ
hamin jaise bina patwar dariya par karte hain
wo kya maujon se Takraenge jo pani se Darte hain
unhin ko ai watan kyon hashiye pe rakkha jata hai
teri surat mein jo KHun-e-jigar se rang bharte hain
agar zinda hi rahna hai to rahiye apni sharton par
ki KHuddari se KHali log sau sau bar marte hain
ghanimat hai bacha rakkha hai hum ne rang-o-KHushbu ko
ki hum wo phul hain jo roz sho'lon se guzarte hain
'bashar' sach bolne walon ko koi kya Daraega
jo Darte hain KHuda se wo kahan duniya se Darte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.