hamin khoe gae jab un ko paya
hamīñ kho.e ga.e jab un ko paayā
husūl-e-mudda’ā kis kaam aaya
samāyā phir nigāhoñ meñ na koī
nigāhoñ meñ koī aisā samāyā
hameñ us din ḳhud apnī yaad aa.ī
hameñ jis roz koī yaad aaya
tirī dhun meñ kuchh aise kho ga.e haiñ
ḳhayāl-e-zindagī barsoñ na aaya
nazar us ā.ina-rū par tasadduq
nazar aa kar hameñ ham se milāyā
du'ā kaam aa ga.ī bahr-e-alam meñ
ḳhudā ne nā-ḳhudāoñ se bachāyā
'rishī' bikhrā udhar shīrāza-e-gul
idhar nādān ġhuncha muskurāyā
hamin khoe gae jab un ko paya
husul-e-mudda’a kis kaam aaya
samaya phir nigahon mein na koi
nigahon mein koi aisa samaya
hamein us din KHud apni yaad aai
hamein jis roz koi yaad aaya
teri dhun mein kuchh aise kho gae hain
KHayal-e-zindagi barson na aaya
nazar us aaina-ru par tasadduq
nazar aa kar hamein hum se milaya
du'a kaam aa gai bahr-e-alam mein
KHuda ne na-KHudaon se bachaya
'rishi' bikhra udhar shiraaza-e-gul
idhar nadan ghuncha muskuraya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.