hamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
hamīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
yaqīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
mire ḳhayāl ko chorī kiyā kiyā so kiyā
zamīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
makāñ banāte rahe bām-o-dar sajāte rahe
makīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
asiir aam se chehre ke ho ke baiThe haiñ
hasīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
bajā ki haath ko thāmā bajā liyā bosa
jabīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
thā zikr mujh ko bhulāne kā haañ hī bol diyā
nahīñ ko bhuul ga.e aap ke bhī kyā kahne
hamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
yaqin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
mere KHayal ko chori kiya kiya so kiya
zamin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
makan banate rahe baam-o-dar sajate rahe
makin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
asir aam se chehre ke ho ke baiThe hain
hasin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
baja ki hath ko thama baja liya bosa
jabin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
tha zikr mujh ko bhulane ka han hi bol diya
nahin ko bhul gae aap ke bhi kya kahne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.