hamin pe ranj-o-alam go hazar guzre hain
hamin pe ranj-o-alam go hazar guzre hain
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
hamīñ pe ranj-o-alam go hazār guzre haiñ
jahāñ se guzre haiñ ham naġhma-bār guzre haiñ
harīm-e-nāz se ham hoshiyār guzre haiñ
magar vo dil se to be-iḳhtiyār guzre haiñ
zabāñ zabāñ pe hai mehr-o-vafā ke afsāne
jahāñ jahāñ se tire jāñ-nisār guzre haiñ
nazar nazar ne hai chūmā diloñ ne chāhā hai
jo rahguzar se tirī dil-figār guzre haiñ
ḳhayāl-o-fikr kī vo rif'atoñ ko chhū ke ga.e
tirī nazar se jo ye ḳhāksār guzre haiñ
mahak mahak sī ga.ī bū-e-pairahan se fazā
ki aaj idhar se vo jān-e-bahār guzre haiñ
ye ḳhūn-e-dil hai jo āñkhoñ kī raah bah niklā
kahā ye kis ne ki ham ashk-bār guzre haiñ
rulā.e kyoñ na hameñ ab qafas meñ yaad un kī
vo raat din jo sar-e-shāḳh-sār guzre haiñ
'habīb' merī nigāhoñ se ho vo laakh nihāñ
vo mere dil se magar baar baar guzre haiñ
hamin pe ranj-o-alam go hazar guzre hain
jahan se guzre hain hum naghma-bar guzre hain
harim-e-naz se hum hoshiyar guzre hain
magar wo dil se to be-iKHtiyar guzre hain
zaban zaban pe hai mehr-o-wafa ke afsane
jahan jahan se tere jaan-nisar guzre hain
nazar nazar ne hai chuma dilon ne chaha hai
jo rahguzar se teri dil-figar guzre hain
KHayal-o-fikr ki wo rif'aton ko chhu ke gae
teri nazar se jo ye KHaksar guzre hain
mahak mahak si gai bu-e-pairahan se faza
ki aaj idhar se wo jaan-e-bahaar guzre hain
ye KHun-e-dil hai jo aankhon ki rah bah nikla
kaha ye kis ne ki hum ashk-bar guzre hain
rulae kyon na hamein ab qafas mein yaad un ki
wo raat din jo sar-e-shaKH-sar guzre hain
'habib' meri nigahon se ho wo lakh nihan
wo mere dil se magar bar bar guzre hain
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 47)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.