hamin se sare zamane ko tha gila tanha
hamin se sare zamane ko tha gila tanha
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
hamīñ se saare zamāne ko thā gila tanhā
hamīñ the shahr meñ ik sāhab-e-adā tanhā
hamīñ ne māñgī thī sab ke liye duā tanhā
sabhī ke jurm kī ham ko milī sazā tanhā
ra.īs-e-shahr hoñ ham se ḳhafā na kyoñ yaaro
ki ham haiñ un kī sharāfat se āshnā tanhā
mirī nigāh meñ nang-e-vajūd hai vo shaḳhs
uThā.e zaat se apnī jo fā.eda tanhā
misāl jis kī tavārīḳh meñ nahīñ miltī
hamāre ahd meñ guzrā vo sāneha tanhā
hamīñ ne shahr se joḌā thā gaañv kā rishta
hamīñ se gaañv ke logoñ ko hai gila tanhā
hamāre jaise haiñ 'nāshād' lākhoñ maqtal meñ
karegā kitnoñ se qātil muqābla tanhā
hamin se sare zamane ko tha gila tanha
hamin the shahr mein ek sahab-e-ada tanha
hamin ne mangi thi sab ke liye dua tanha
sabhi ke jurm ki hum ko mili saza tanha
rais-e-shahr hon hum se KHafa na kyon yaro
ki hum hain un ki sharafat se aashna tanha
meri nigah mein nang-e-wajud hai wo shaKHs
uThae zat se apni jo faeda tanha
misal jis ki tawariKH mein nahin milti
hamare ahd mein guzra wo saneha tanha
hamin ne shahr se joDa tha ganw ka rishta
hamin se ganw ke logon ko hai gila tanha
hamare jaise hain 'nashad' lakhon maqtal mein
karega kitnon se qatil muqabla tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.