hamin to hain jo tere sath chalte rahte hain
hamīñ to haiñ jo tire saath chalte rahte haiñ
vagarna log to raste badalte rahte haiñ
kabhī zamāne kā ġham hai kabhī tumhārā ġham
ġhazal sunāne ke pahlū nikalte rahte haiñ
nazar to aate haiñ ab phūl-phal daraḳhtoñ par
ye aur baat ki ham haath malte rahte haiñ
ye apnī marzī ke mālik haiñ in se kuchh na kaho
purāne log haiñ girte sambhalte rahte haiñ
ajab udāsī meñ ab ke guzar rahe haiñ din
jo kaam aaj ke haiñ kal pe Talte rahte haiñ
koī charāġh sar-e-rahguzar bhī raushan ho
muñDer par to diye sab kī jalte rahte haiñ
jhulastī ret pe ik buuñd hī uchhāl kabhī
ye bārishoñ meñ to dariyā ubalte rahte haiñ
na aa.e vo lab-e-iz.hār tak kabhī 'fārūq'
ki jazbe dil meñ to aksar machalte rahte haiñ
hamin to hain jo tere sath chalte rahte hain
wagarna log to raste badalte rahte hain
kabhi zamane ka gham hai kabhi tumhaara gham
ghazal sunane ke pahlu nikalte rahte hain
nazar to aate hain ab phul-phal daraKHton par
ye aur baat ki hum hath malte rahte hain
ye apni marzi ke malik hain in se kuchh na kaho
purane log hain girte sambhalte rahte hain
ajab udasi mein ab ke guzar rahe hain din
jo kaam aaj ke hain kal pe Talte rahte hain
koi charagh sar-e-rahguzar bhi raushan ho
munDer par to diye sab ki jalte rahte hain
jhulasti ret pe ek bund hi uchhaal kabhi
ye barishon mein to dariya ubalte rahte hain
na aae wo lab-e-izhaar tak kabhi 'faruq'
ki jazbe dil mein to aksar machalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.