hamrah chal raha tha magar dekhta na tha
hamrāh chal rahā thā magar dekhtā na thā
jaise ki vo kabhī kā mirā āshnā na thā
saare badan meñ aag kī lapTeñ savār thiiñ
dariyā meñ kūdne ke sivā rāsta na thā
ḳhvāboñ ke par jale hue bikhre the chār-sū
aḳhbār kah rahā hai koī ghar jalā na thā
ham apne ġham-kade se nikalte to kis tarah
taale paḌe hue the koī dar khulā na thā
tanhā.iyoñ meñ baiTh ke piite rahe haiñ log
ik aisā zahr jis kā koī zā.iqa na thā
ik dūsre se duur rahe ham tamām 'umr
vaise hamāre biich koī fāsla na thā
vo din bhī yaad hai ki isī shahr meñ 'shamīm'
maiñ kho gayā thā aur koī DhūñDhtā na thā
hamrah chal raha tha magar dekhta na tha
jaise ki wo kabhi ka mera aashna na tha
sare badan mein aag ki lapTen sawar thin
dariya mein kudne ke siwa rasta na tha
KHwabon ke par jale hue bikhre the chaar-su
aKHbar kah raha hai koi ghar jala na tha
hum apne gham-kade se nikalte to kis tarah
tale paDe hue the koi dar khula na tha
tanhaiyon mein baiTh ke pite rahe hain log
ek aisa zahr jis ka koi zaiqa na tha
ek dusre se dur rahe hum tamam 'umr
waise hamare bich koi fasla na tha
wo din bhi yaad hai ki isi shahr mein 'shamim'
main kho gaya tha aur koi DhunDhta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.