hamrah uske subh chale sham bhi chale
hamrāh us ke sub.h chale shaam bhī chale
par le ke koī amn kā paiġhām bhī chale
ab kyā ilāj-e-dard-e-dil-e-be-talab karūñ
kuchh ho to un se nāma-o-paiġhām bhī chale
ai dil nikāl aisī koī raah ishq meñ
tū bhī rahe sukūñ se mirā kaam bhī chale
guzre nahīñ haiñ sirf chaman hī se ai bahār
ham dekhte hue tirā anjām bhī chale
duniyā-e-be-sabāt kī chāhat to dekhiye
har shaḳhs chāhtā hai mirā naam bhī chale
ham ne kiyā hai aaj 'ḳhalish' azm-e-mai-kada
kah do ki saath gardish-e-ayyām bhī chale
hamrah us ke subh chale sham bhi chale
par le ke koi amn ka paigham bhi chale
ab kya ilaj-e-dard-e-dil-e-be-talab karun
kuchh ho to un se nama-o-paigham bhi chale
ai dil nikal aisi koi rah ishq mein
tu bhi rahe sukun se mera kaam bhi chale
guzre nahin hain sirf chaman hi se ai bahaar
hum dekhte hue tera anjam bhi chale
duniya-e-be-sabaat ki chahat to dekhiye
har shaKHs chahta hai mera nam bhi chale
hum ne kiya hai aaj 'KHalish' azm-e-mai-kada
kah do ki sath gardish-e-ayyam bhi chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.