Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hans kar aansu pine wale dard baTane wale log

Javed Iqbal Sattar

hans kar aansu pine wale dard baTane wale log

Javed Iqbal Sattar

MORE BYJaved Iqbal Sattar

    hañs kar aañsū piine vaale dard baTāne vaale log

    baad hamāre tum DhūñDoge naaz uThāne vaale log

    mausam badlā patjhaḌ aa.ī panchhī uḌ ga.e shāḳhoñ se

    saath rahe haiñ saath raheñge saath nibhāne vaale log

    baat kahī kyā ḳhuub kisī ne maiñ dohrā.e detā huuñ

    dost nahīñ hote haiñ saare haath milāne vaale log

    dushman ke zaḳhmoñ pe marham aap lagā.eñ baḌh-chaḌh kar

    jiit se gar vāqif ho jaa.eñ jiit manāne vaale log

    sāhil hai in.aam unhī jo tūfān se laḌte haiñ

    rizq-e-dariyā ho jaate haiñ shor machāne vaale log

    tum ne rāteñ so kar kāTīñ aur din bhar ārām kiyā

    sūraj chāñd sitāre laa.e ḳhaak uḌāne vaale log

    mīloñ chal kar ā.eñge taare hamārī chaukhaT par

    go ham ko pahchān na paa.e aaj zamāne vaale log

    hans kar aansu pine wale dard baTane wale log

    baad hamare tum DhunDoge naz uThane wale log

    mausam badla patjhaD aai panchhi uD gae shaKHon se

    sath rahe hain sath rahenge sath nibhane wale log

    baat kahi kya KHub kisi ne main dohrae deta hun

    dost nahin hote hain sare hath milane wale log

    dushman ke zaKHmon pe marham aap lagaen baDh-chaDh kar

    jit se gar waqif ho jaen jit manane wale log

    sahil hai inam unhi ka jo tufan se laDte hain

    rizq-e-dariya ho jate hain shor machane wale log

    tum ne raaten so kar kaTin aur din bhar aaram kiya

    suraj chand sitare lae KHak uDane wale log

    milon chal kar aaenge tare hamari chaukhaT par

    go hum ko pahchan na pae aaj zamane wale log

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 286)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now