hans kar main zindagi ki aziyyat uThaunga
hañs kar maiñ zindagī kī aziyyat uThā.ūñgā
tere liye sukūn ke lamhe banā.ūñgā
maiñ ne badal liyā hai ravayya havā-e-shab
ab tū diyā bujhā.egī maiñ phir jalā.ūñgā
chal hī paḌegī chāroñ taraf bād-e-nau-bahār
jab maiñ zamīñ pe āḳhirī pattā girā.uñgā
farzī hikāyatoñ pe na aañsū gañvāo tum
yaaro kabhī maiñ apnī kahānī sunā.ūñgā
phailāuñgā maiñ dāman-e-dil tere sāmne
tū sochtā hai maiñ tirā ehsāñ uThā.ūñgā
ik pal meñ ek vāqi.a rakkhūñgā dhyān meñ
aur dūsre hī pal meñ use bhuul jā.ūñgā
'sayyad' ab us kī raah meñ āñkheñ huiiñ safed
jo kah gayā thā tere liye lauT ā.ūñgā
hans kar main zindagi ki aziyyat uThaunga
tere liye sukun ke lamhe banaunga
main ne badal liya hai rawayya hawa-e-shab
ab tu diya bujhaegi main phir jalaunga
chal hi paDegi chaaron taraf baad-e-nau-bahaar
jab main zamin pe aaKHiri patta giraunga
farzi hikayaton pe na aansu ganwao tum
yaro kabhi main apni kahani sunaunga
phailaunga main daman-e-dil tere samne
tu sochta hai main tera ehsan uThaunga
ek pal mein ek waqia rakkhunga dhyan mein
aur dusre hi pal mein use bhul jaunga
'sayyad' ab us ki rah mein aankhen huin safed
jo kah gaya tha tere liye lauT aaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.