hans ke parda jo uThata to gulistan hota
hañs ke parda jo uThātā to gulistāñ hotā
aur hī rang-e-jahāñ tujh se numāyāñ hotā
hausla pūchh lo har zarre se vahshat kā mirī
nigah-e-hosh jo paḌtī to bayābāñ hotā
fasl-e-gul meñ jo kahīñ dāman-e-gardūñ kā hilāl
haath aatā to hamārā hī garebāñ hotā
aa.ine meñ vo nazar dekh rahe haiñ apnī
dil agar pech meñ hotā to ye mīzāñ hotā
mil ga.e ḳhaak meñ āñkhoñ se nikal kar nāhaq
ashk-e-pur-ḳhūñ ke liye aap kā dāmāñ hotā
nashtar-e-ishq-o-mohabbat ko nikālā maiñ ne
dil meñ rahtā to ye paivast-e-rag-e-jāñ hotā
dil kī mahrūmī-e-taqdīr kā sadma hai mujhe
ye jo gulshan na huā thā to bayābāñ hotā
maiñ agar daaġh bhī thā dāman-e-hastī ke liye
aap ke haath se miT jaane kā sāmāñ hotā
ālam-e-yās meñ sad-shukr ki aa.ī mujhe maut
is bure vaqt meñ thā kaun jo pursāñ hotā
pūjtā hai kisī kāfir ko 'vafā' kyoñ din-rāt
is se behtar to yahī thā ki musalmāñ hotā
hans ke parda jo uThata to gulistan hota
aur hi rang-e-jahan tujh se numayan hota
hausla puchh lo har zarre se wahshat ka meri
nigah-e-hosh jo paDti to bayaban hota
fasl-e-gul mein jo kahin daman-e-gardun ka hilal
hath aata to hamara hi gareban hota
aaine mein wo nazar dekh rahe hain apni
dil agar pech mein hota to ye mizan hota
mil gae KHak mein aankhon se nikal kar nahaq
ashk-e-pur-KHun ke liye aap ka daman hota
nashtar-e-ishq-o-mohabbat ko nikala main ne
dil mein rahta to ye paiwast-e-rag-e-jaan hota
dil ki mahrumi-e-taqdir ka sadma hai mujhe
ye jo gulshan na hua tha to bayaban hota
main agar dagh bhi tha daman-e-hasti ke liye
aap ke hath se miT jaane ka saman hota
aalam-e-yas mein sad-shukr ki aai mujhe maut
is bure waqt mein tha kaun jo pursan hota
pujta hai kisi kafir ko 'wafa' kyon din-raat
is se behtar to yahi tha ki musalman hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.