hans raha hoga shikari jal phailate hue
hañs rahā hogā shikārī jaal phailāte hue
ḳhauf aatā hai mujhe ghar lauT kar jaate hue
māñgte haiñ log paanī kī duā bā-chashm-e-nam
ḳhush hai bādal har taraf tezāb barsāte hue
ḳhāmushī to mas.ale kā hal nahīñ lagtī hai aur
baat bigḌī hai hamesha baat manvāte hue
muḳhtalif hai soch us kī maiñ ne chāhā thā magar
merā bachcha ho baḌā kal mujh ko dohrāte hue
ḳhvāhishoñ ne kar diyā rusvā sar-e-bāzār yuuñ
ab zarūrat ro rahī hai haath phailāte hue
maiñ usī āvāz ke pīchhe chalā huuñ jhuum kar
aage aage chal rahā hai rāsta gaate hue
kaañp uThtā hai dil-e-'maqsūd' ġham ke naam par
maiñ to ik ik dard sah letā huuñ muskāte hue
hans raha hoga shikari jal phailate hue
KHauf aata hai mujhe ghar lauT kar jate hue
mangte hain log pani ki dua ba-chashm-e-nam
KHush hai baadal har taraf tezab barsate hue
KHamushi to masale ka hal nahin lagti hai aur
baat bigDi hai hamesha baat manwate hue
muKHtalif hai soch us ki main ne chaha tha magar
mera bachcha ho baDa kal mujh ko dohraate hue
KHwahishon ne kar diya ruswa sar-e-bazar yun
ab zarurat ro rahi hai hath phailate hue
main usi aawaz ke pichhe chala hun jhum kar
aage aage chal raha hai rasta gate hue
kanp uThta hai dil-e-'maqsud' gham ke nam par
main to ek ek dard sah leta hun muskate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.