hansi aati hai kahta tha ki aisa ho nahin sakta
hañsī aatī hai kahtā thā ki aisā ho nahīñ saktā
ye merā dil hai merā dil kisī kā ho nahīñ saktā
ġhamoñ ke āsmāñ par jagmagātī ḳhushnumā yādeñ
ki shahr-e-dil kī rātoñ kā saverā ho nahīñ saktā
ajab andāz meñ us ne kahā aur muuñd liiñ āñkheñ
vo mujh se pher le nazreñ are jā ho nahīñ saktā
ġhamoñ par muskurāhaT kā labāda oḌh rakkhā hai
kahīñ is shaan kā duujā mukhauTā ho nahīñ saktā
jahāñ tahzīb ḳhud andhī galī meñ rāsta bhaTke
vahāñ kirdār-o-sīrat kā ujālā ho nahīñ saktā
koī marne se roke hai koī jiine nahīñ detā
sivā mar mar ke jiine ke guzārā ho nahīñ saktā
hansi aati hai kahta tha ki aisa ho nahin sakta
ye mera dil hai mera dil kisi ka ho nahin sakta
ghamon ke aasman par jagmagati KHushnuma yaaden
ki shahr-e-dil ki raaton ka sawera ho nahin sakta
ajab andaz mein us ne kaha aur mund lin aankhen
wo mujh se pher le nazren are ja ho nahin sakta
ghamon par muskurahaT ka labaada oDh rakkha hai
kahin is shan ka duja mukhauTa ho nahin sakta
jahan tahzib KHud andhi gali mein rasta bhaTke
wahan kirdar-o-sirat ka ujala ho nahin sakta
koi marne se roke hai koi jine nahin deta
siwa mar mar ke jine ke guzara ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.