hansi ki aankh mein phaila nami ka rang dekha hai
hañsī kī aañkh meñ phailā namī kā rang dekhā hai
añdheroñ meñ lipaTtā raushnī kā rang dekhā hai
sadā pahlū meñ bhī madd-e-muqābil kī tarah rahnā
kisī kī dostī meñ dushmanī kā rang dekhā hai
baḌī gahrī mohabbat kī dhanak hai jin nigāhoñ meñ
unhī meñ gaahe gaahe dil-lagī kā rang dekhā hai
kitāboñ se nikaltā hai to pahchānā nahīñ jaatā
vagarna sāmne aksar ḳhushī kā rang dekhā hai
churā kar le na jaa.e fāsloñ kī dhuup bhī jis ko
kisī par is qadar gahrā kisī kā rang dekhā hai
ye dekhā hai ki gumrāhī nishāñ bantī hai manzil kā
taġhāful kī Dagar meñ āgahī kā rang dekhā hai
shikasta soḳhta-jāñ bhī tamannā-e-bahārāñ bhī
daraḳhtoñ par ḳhizāñ meñ aadmī kā rang dekhā hai
lage jo dhuup uḌ jaa.e mile bārish to bah jaa.e
sabhī rañgoñ se kachchā zindagī kā rang dekhā hai
na jaane us pe utregā kabhī Thahrāv kā mausam
har ik lahza badaltā oḌhnī kā rang dekhā hai
hansi ki aankh mein phaila nami ka rang dekha hai
andheron mein lipaTta raushni ka rang dekha hai
sada pahlu mein bhi madd-e-muqabil ki tarah rahna
kisi ki dosti mein dushmani ka rang dekha hai
baDi gahri mohabbat ki dhanak hai jin nigahon mein
unhi mein gahe gahe dil-lagi ka rang dekha hai
kitabon se nikalta hai to pahchana nahin jata
wagarna samne aksar KHushi ka rang dekha hai
chura kar le na jae faslon ki dhup bhi jis ko
kisi par is qadar gahra kisi ka rang dekha hai
ye dekha hai ki gumrahi nishan banti hai manzil ka
taghaful ki Dagar mein aagahi ka rang dekha hai
shikasta soKHta-jaan bhi tamanna-e-bahaaran bhi
daraKHton par KHizan mein aadmi ka rang dekha hai
lage jo dhup uD jae mile barish to bah jae
sabhi rangon se kachcha zindagi ka rang dekha hai
na jaane us pe utrega kabhi Thahraw ka mausam
har ek lahza badalta oDhni ka rang dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.