hansne ka sabab yaad na rone ki wajah yaad
hañsne kā sabab yaad na rone kī vajah yaad
ik yaad tujhe rakhne meñ kuchh bhī na rahā yaad
maiñ lafz-e-ḳhushī bhuul ke ye soch rahā huuñ
hogā kaf-e-jānāñ ko bhī kyā rang-e-hinā yaad
chāhe vo masā.ib hī ke aalam meñ ho lekin
aaya to sahī bhūlne vāloñ ko ḳhudā yaad
aisī bhī sazā 'rāz' ne paa.ī hai yahāñ par
ab yaad nahīñ jurm par ab tak hai sazā yaad
hansne ka sabab yaad na rone ki wajah yaad
ek yaad tujhe rakhne mein kuchh bhi na raha yaad
main lafz-e-KHushi bhul ke ye soch raha hun
hoga kaf-e-jaanan ko bhi kya rang-e-hina yaad
chahe wo masaib hi ke aalam mein ho lekin
aaya to sahi bhulne walon ko KHuda yaad
aisi bhi saza 'raaz' ne pai hai yahan par
ab yaad nahin jurm par ab tak hai saza yaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.