hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai
hañstī huī tanhā vo darīche meñ khaḌī hai
laḌkī hai ki tarshe hue hīroñ kī laḌī hai
sone kā ye andāz hai ḳhafgī kī 'alāmat
chehra kiye dīvār kī jānib vo paḌī hai
kohre meñ ghirī shaam kī Dolī se utar kar
tanhā.ī kī chaukhaT pe tirī yaar khaḌī hai
dil 'umr ke qānūn kā qaa.il nahīñ varna
ehsās use bhī hai ki vo mujh se baḌī hai
āñkhoñ meñ tire ġham kā hai hañstā huā mausam
dil meñ tirī yādoñ kī harī fasl khaḌī hai
pābandi-e-auqāt huī us se na hogī
har chand ki nāzuk se kalā.ī meñ ghaḌī hai
maqtūl ko kar aa.e jahāñ dafn 'qamar' log
talvār bhī qātil kī vahīñ par to gaḌī hai
hansti hui tanha wo dariche mein khaDi hai
laDki hai ki tarshe hue hiron ki laDi hai
sone ka ye andaz hai KHafgi ki 'alamat
chehra kiye diwar ki jaanib wo paDi hai
kohre mein ghiri sham ki Doli se utar kar
tanhai ki chaukhaT pe teri yar khaDi hai
dil 'umr ke qanun ka qail nahin warna
ehsas use bhi hai ki wo mujh se baDi hai
aankhon mein tere gham ka hai hansta hua mausam
dil mein teri yaadon ki hari fasl khaDi hai
pabandi-e-auqat hui us se na hogi
har chand ki nazuk se kalai mein ghaDi hai
maqtul ko kar aae jahan dafn 'qamar' log
talwar bhi qatil ki wahin par to gaDi hai
- Book : shab khuun (48) (rekhta website) (Pg. 51)
- Edition : 1970
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.