haq-bayani ke charaghon ko jala kar aa gaya
haq-bayānī ke charāġhoñ ko jalā kar aa gayā
us ke dil ko raushnī kā ghar banā kar aa gayā
ek dīvāna jise pyāsā samajhte the sabhī
vo jhulastī ret pe dariyā bahā kar aa gayā
thā sakūñ darkār mujh ko ḳhāmushī ke shahr meñ
is liye āvāz miTTī meñ dabā kar aa gayā
shart thī ġharqāb honā haañ magar terī razā
phir samundar par koī rasta banā kar aa gayā
ek jugnū raqs kartā thā fasīl-e-hijr par
aur maiñ pāgal charāġhoñ ko jalā kar aa gayā
haq-bayani ke charaghon ko jala kar aa gaya
us ke dil ko raushni ka ghar bana kar aa gaya
ek diwana jise pyasa samajhte the sabhi
wo jhulasti ret pe dariya baha kar aa gaya
tha sakun darkar mujh ko KHamushi ke shahr mein
is liye aawaz miTTi mein daba kar aa gaya
shart thi gharqab hona han magar teri raza
phir samundar par koi rasta bana kar aa gaya
ek jugnu raqs karta tha fasil-e-hijr par
aur main pagal charaghon ko jala kar aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.