haq kaha dar pe jis ne wo bashar kaisa tha
haq kahā daar pe jis ne vo bashar kaisā thā
sach batāo mujhe vo ahl-e-nazar kaisā thā
shahr-e-āshob likhā jis ke liye logoñ ne
kaise bāshinde the us ke vo nagar kaisā thā
jal gayā raakh huā yuuñ to nasheman ujḌā
dekhne vaalo kaho raqs-e-sharar kaisā thā
shāḳh par jitne parinde the sabhī chīḳh paḌe
TūTne vaalā na-jāne vo shajar kaisā thā
dāstān-e-ġham-o-ālām mirī jhuuT sahī
tere chehre pe vo tā-der asar kaisā thā
jab nazar us pe paḌī aur mirā dil dhaḌkā
kaun thā us meñ ḳhudā jaane vo ghar kaisā thā
kyā koī hādsa-e-maut huā thā vāqe'
ik hujūm aaj sar-e-rāhguzar kaisā thā
tum ne dekhā thā 'jamālī' ko sunāo logo
haañ vo shā'ir na sahī ahl-e-nazar kaisā thā
haq kaha dar pe jis ne wo bashar kaisa tha
sach batao mujhe wo ahl-e-nazar kaisa tha
shahr-e-ashob likha jis ke liye logon ne
kaise bashinde the us ke wo nagar kaisa tha
jal gaya rakh hua yun to nasheman ujDa
dekhne walo kaho raqs-e-sharar kaisa tha
shaKH par jitne parinde the sabhi chiKH paDe
TuTne wala na-jaane wo shajar kaisa tha
dastan-e-gham-o-alam meri jhuT sahi
tere chehre pe wo ta-der asar kaisa tha
jab nazar us pe paDi aur mera dil dhaDka
kaun tha us mein KHuda jaane wo ghar kaisa tha
kya koi hadsa-e-maut hua tha waqe'
ek hujum aaj sar-e-rahguzar kaisa tha
tum ne dekha tha 'jamali' ko sunao logo
han wo sha'ir na sahi ahl-e-nazar kaisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.