haq ke sanche mein hum jo Dhal jaen
haq ke sāñche meñ ham jo Dhal jaa.eñ
hādse ḳhud saroñ se Tal jaa.eñ
dosto ab bhī kuchh nahīñ bigḌā
ab bhī hai vaqt ham sañbhal jaa.eñ
mere phūloñ kī qadr baḌh jaa.e
in ko pairoñ se vo kuchal jaa.eñ
vo sharāb-e-kuhan diloñ meñ uñDel
jis kī tundī se ye pighal jaa.eñ
mere ashkoñ ko pūchhne vaale
kahīñ tere na haath jal jaa.eñ
ham-safar 'ilm hai tujhe na mujhe
kab kahāñ rāste badal jaa.eñ
ġhair mumkin hai khoTe sikke tire
mere bāzār meñ bhī chal jaa.eñ
soz ġhazloñ meñ aisā bhar 'rizvān'
sun ke ahl-e-nazar machal jaa.eñ
haq ke sanche mein hum jo Dhal jaen
hadse KHud saron se Tal jaen
dosto ab bhi kuchh nahin bigDa
ab bhi hai waqt hum sanbhal jaen
mere phulon ki qadr baDh jae
in ko pairon se wo kuchal jaen
wo sharab-e-kuhan dilon mein unDel
jis ki tundi se ye pighal jaen
mere ashkon ko puchhne wale
kahin tere na hath jal jaen
ham-safar 'ilm hai tujhe na mujhe
kab kahan raste badal jaen
ghair mumkin hai khoTe sikke tere
mere bazar mein bhi chal jaen
soz ghazlon mein aisa bhar 'rizwan'
sun ke ahl-e-nazar machal jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.