haq ki hai gar talash to ye man kar chalo
haq kī hai gar talāsh to ye maan kar chalo
ab tak paḌhā sunā hai jo shāyad sahī na ho
vo ilm jis se zauq-e-tajassus kī maut ho
us ilm se to achchhā hai lā-ilm hī raho
har baat hai kitāb kī vaa.iz mujhe qubūl
tasdīq us kī bas zarā dil se mire bhī ho
maz.hab to shaiḳh ham ko virāsat meñ hai milā
tahqīq kar ke kitnoñ ne ḳhud hai chunā kaho
jis par kiyā hai ham ne yaqīñ aañkh muuñd ke
mumkin hai rāh-e-haq se vo ḳhud-āshnā na ho
har sher ai 'sadā' tirā ho tāzgī bharā
vo baat kah jo pahle kisī ne kahī na ho
haq ki hai gar talash to ye man kar chalo
ab tak paDha suna hai jo shayad sahi na ho
wo ilm jis se zauq-e-tajassus ki maut ho
us ilm se to achchha hai la-ilm hi raho
har baat hai kitab ki waiz mujhe qubul
tasdiq us ki bas zara dil se mere bhi ho
mazhab to shaiKH hum ko wirasat mein hai mila
tahqiq kar ke kitnon ne KHud hai chuna kaho
jis par kiya hai hum ne yaqin aankh mund ke
mumkin hai rah-e-haq se wo KHud-ashna na ho
har sher ai 'sada' tera ho tazgi bhara
wo baat kah jo pahle kisi ne kahi na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.