haq ki talash mein hi bhaTakti rahi sada
haq kī talāsh meñ hī bhaTaktī rahī sadā
khoī rahī hai ishq meñ manzil mirī sadā
sīkhā sabaq jo maiñ ne to azbar nahīñ kiyā
paatī rahī sazā maiñ isī baat kī sadā
talḳhī ga.e dinoñ kī mire saath hī rahī
vo ulTī paḌ ga.ī jo duā maiñ ne kī sadā
kuchh aur dhañs ga.ī use khīñchā agar kabhī
kashtī pahan ke ret hī soī rahī sadā
maiñ apnī khoj meñ rahī lekin kuchh is tarah
terā hī zikr ġhazloñ meñ kartī rahī sadā
'zahrā' muaaf kar bhī de ik din agar kabhī
to bhī sazā milegī use ab vahī sadā
haq ki talash mein hi bhaTakti rahi sada
khoi rahi hai ishq mein manzil meri sada
sikha sabaq jo main ne to azbar nahin kiya
pati rahi saza main isi baat ki sada
talKHi gae dinon ki mere sath hi rahi
wo ulTi paD gai jo dua main ne ki sada
kuchh aur dhans gai use khincha agar kabhi
kashti pahan ke ret hi soi rahi sada
main apni khoj mein rahi lekin kuchh is tarah
tera hi zikr ghazlon mein karti rahi sada
'zahra' muaf kar bhi de ek din agar kabhi
to bhi saza milegi use ab wahi sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.