haq-paristan-e-jahan barsar-e-baatil Thahre
haq-paristān-e-jahāñ barsar-e-bātil Thahre
kis kī himmat hai ki us but ke muqābil Thahre
aap rahbar hī sahī phir bhī ye isrār hai kyoñ
aap kī samt-e-nazar jāda-e-manzil Thahre
ham agar naam leñ sāhil kā to gardan-zadanī
aap farmā deñ to girdāb bhī sāhil Thahre
kyā qayāmat hai ki vo log jo ḳhud bismil the
'adl-o-insāf kī mīzān meñ qābil Thahre
ham sazā-vār-e-karam the ki na the kaise kaheñ
saiñkaḌoñ ham meñ se tā'zīr ke qābil Thahre
saiñkaḌoñ ho ga.e gum vādī-e-gumnāmī meñ
sirf do-chār hī shā.ista-e-manzil Thahre
kaun jaane ki yahī 'soz' kī mā'sūm ġhazal
ek angāra pa.e ḳhirman-e-bātil Thahre
haq-paristan-e-jahan barsar-e-baatil Thahre
kis ki himmat hai ki us but ke muqabil Thahre
aap rahbar hi sahi phir bhi ye israr hai kyon
aap ki samt-e-nazar jada-e-manzil Thahre
hum agar nam len sahil ka to gardan-zadani
aap farma den to girdab bhi sahil Thahre
kya qayamat hai ki wo log jo KHud bismil the
'adl-o-insaf ki mizan mein qabil Thahre
hum saza-war-e-karam the ki na the kaise kahen
sainkaDon hum mein se ta'zir ke qabil Thahre
sainkaDon ho gae gum wadi-e-gumnami mein
sirf do-chaar hi shaista-e-manzil Thahre
kaun jaane ki yahi 'soz' ki ma'sum ghazal
ek angara pae KHirman-e-baatil Thahre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.